Thursday, October 13, 2011

Rubaru

Tehreer ke aghaaz mai, afsana mukammal ho gaya, (Writing, beginning)
Jo alag hua to panap gaya, jo lipat gaya to bikhar gaya

Us ainay ko dekh ke ek aina bana liya,
Aks dikh saka tabhi, jab mujhe se rubaru mai ho gaya

In majlison mai aansoo-on ka silsila bana raha, (public mourning)
Qissa-e- majlis bayan kiya, to khuda masroof ho gaya (busy)

Tohmat-e-sifar paishani ki lakiron mai bandh gayi, (allegation, zero)
Yeh safar sifar se shuru hua, ilzaam-e-safar ho gaya

Tehzeeb na sikha aye iblees, hazar sajde humne bhi kiye (manners, satan)
bas ek sajda na kiya aur tu begaana ho gaya (stranger)

Woh raaz humne jana, khud se poshida kar liya, (to hide/conceal)
Jo raaz sab ne jana, woh mera raaz ho gaya

Ek to woh sharab thi, kuch aadat Shehroz kharab thi,
Arq-e-Husn zaban ko diya to munkir faizaan ho gaya (sap/nector, disbeliever, beneficent)

No comments: