Monday, February 25, 2008

Ban Gaya

Mujh se juda hokar tu mera hissa ban gaya
Jazbaton ki qabr main gharq (engraved) ek qissa ban gaya

Adhoori sansain, berang shafaq (dusk), nam (wet) palkain
Paishani (forehead) pe shikan, laraztay lab (shivering lips), hasb-e-mamool (daily routine) ban gaya

Qafla na bana, manzilain na mileen, raasta kho gaya
Waqt-e-Taameer ka shor ajab sannata ban gaya

Tera Taj Mahal mere ashiyane se bahut ooncha hai
Yahan zindagi thi, woh khoobsurat maqbara ban gaya

Maykhanay (bar) main kabhi may (sharab) ko na chua
May ko labon se jo lagaya to main (me) maykhana ban gaya

Nafs (desires) ka qatl karke soya tha kal
Mera mehboob mere nafs ka qatil ban gaya

Ashkon (tears) ke sailaab main Shehroz kinaray ko chala
Kamzor kinara mere doobne ka sabab (reason) ban gaya

Monday, January 14, 2008

Munasib Na Hoga

Dagha par teri aetraz na karoon, Munasib Na Hoga
Tu ehtraam na kare meri wafa ka, Munasib Na Hoga (respect)

Ek nayi sunsaan sadak dikhti hai mujhko
Manzil ka ishaara phir main karoon, Munasib Na Hoga

Dil-o-Dimaagh ka tawazzun bigadna mehaz ittefaq nahi hai (balance)
Jibraeel ban kar paigham sunaoon, Munasib Na Hoga (Gabriel-the angel- who brings verdict of god)

Zindagi ki jung ko mar kar jisne jeeta, humne nahi dekha
Qabr se gar woh phir khada ho jaye, Munasib Na Hoga

Habab ne umr-e-chaar din muqarrar hai payi (bubble, destined)
Ek roz aur jo badh jaye, Munasib Na Hoga

Shajar se takrakar aandhiyan wapas ho chaleen (Tree)
Sookhi pattiyan na tootkar kar jhadeen, Munasib Na Hoga

Mujh ko yaqeen ho chala ke main azeem hogaya (Great)
Kafan jo apna rangeen silwaoon, Munasib Na Hoga

Fitrat-e-insaan ko samjhne ki chahat tark ho chali (mizaaj/attitude/behavior, give up)
Kaafir se ummeed-e-Jihaad ho 'shehroz', Munasib Na Hoga (Non-believer of god, Fight for god )

Main Chala

uske kandhon par safar-e-akhri ko chala, (the last journey)
ek jahnnum ne azad kiya, doosray ko chala (hell)

kisine dekha hai tujhko samandar ke paar,
kaghaz ki kashti banakar tujhse milne ko chala (boat)

andhero par bebak hukumat thi uski,
yakbayak wo roshni ki simt ko chala (suddenly, towards)

jiska akheeda sookhay pattay sa toot gaya, (belief)
woh sard hawaon main diya jalanay ko chala

saakhi ki ankhon main ajab kashish si hai, (female bartender, attaraction)
Maikhanay ki soo shehroz doobnay ko chala (in the direction of bar)