Thursday, October 13, 2011

Rubaru

Tehreer ke aghaaz mai, afsana mukammal ho gaya, (Writing, beginning)
Jo alag hua to panap gaya, jo lipat gaya to bikhar gaya

Us ainay ko dekh ke ek aina bana liya,
Aks dikh saka tabhi, jab mujhe se rubaru mai ho gaya

In majlison mai aansoo-on ka silsila bana raha, (public mourning)
Qissa-e- majlis bayan kiya, to khuda masroof ho gaya (busy)

Tohmat-e-sifar paishani ki lakiron mai bandh gayi, (allegation, zero)
Yeh safar sifar se shuru hua, ilzaam-e-safar ho gaya

Tehzeeb na sikha aye iblees, hazar sajde humne bhi kiye (manners, satan)
bas ek sajda na kiya aur tu begaana ho gaya (stranger)

Woh raaz humne jana, khud se poshida kar liya, (to hide/conceal)
Jo raaz sab ne jana, woh mera raaz ho gaya

Ek to woh sharab thi, kuch aadat Shehroz kharab thi,
Arq-e-Husn zaban ko diya to munkir faizaan ho gaya (sap/nector, disbeliever, beneficent)

Wednesday, June 1, 2011

Maqaam

Tere pehloo main ishq ka woh maqaam paa liya hai
mere har dard ko teri muskurahaton ne chhupa liya hai

judai raat ke siyah kagzon main dafan ho gayi hai
andheron ki roshnni main saahil ko paa liya hai

tujh se milnay ki khwahish thee zindagi jeenay ka sabab
Aaj aawaz jo suni to maut main sukoon paa liya hai

ghamon ko dil se lagakar ronay ka kya faida
kharay samandar se apni pyas ko bujha liya hai

jaam chakh kar to sab hee behak jaatay hain
main-khanay se guzar kar nasha honay ka raaz paaliya hai

kal jo kamzor thai to kahin gum thai, shehroz
garam hawaon ne aaj apna aaqa bana liya hai