Monday, January 14, 2008

Munasib Na Hoga

Dagha par teri aetraz na karoon, Munasib Na Hoga
Tu ehtraam na kare meri wafa ka, Munasib Na Hoga (respect)

Ek nayi sunsaan sadak dikhti hai mujhko
Manzil ka ishaara phir main karoon, Munasib Na Hoga

Dil-o-Dimaagh ka tawazzun bigadna mehaz ittefaq nahi hai (balance)
Jibraeel ban kar paigham sunaoon, Munasib Na Hoga (Gabriel-the angel- who brings verdict of god)

Zindagi ki jung ko mar kar jisne jeeta, humne nahi dekha
Qabr se gar woh phir khada ho jaye, Munasib Na Hoga

Habab ne umr-e-chaar din muqarrar hai payi (bubble, destined)
Ek roz aur jo badh jaye, Munasib Na Hoga

Shajar se takrakar aandhiyan wapas ho chaleen (Tree)
Sookhi pattiyan na tootkar kar jhadeen, Munasib Na Hoga

Mujh ko yaqeen ho chala ke main azeem hogaya (Great)
Kafan jo apna rangeen silwaoon, Munasib Na Hoga

Fitrat-e-insaan ko samjhne ki chahat tark ho chali (mizaaj/attitude/behavior, give up)
Kaafir se ummeed-e-Jihaad ho 'shehroz', Munasib Na Hoga (Non-believer of god, Fight for god )

2 comments:

Anonymous said...

sahi hai ustaad

Unknown said...

ab is qadar ki shaayari pe koi batlaaye ki hum batlaayein kya . . .