Saturday, November 7, 2020

Kyu ho raha hai

Maazi mai jo na hua, kyu ho raha hai               (past)
Mera maazi mujh se door ho raha hai

Main is dunya ka akhri shakhs to nahi              (last, person)
Zikr mera phir har su kyu ho raha hai               (discussion/mention, everywhere)

Ghadi se pehle koyi waqt ka alim hoga            (time, expert)
phir waqt kyu ghadi mai qaid ho raha hai 

Dozakh ki aag rulati nahi hai mujhe                (hell)
Jannat mai wo hooro ke samne ro raha hai     (heaven, fairies)

Tu parinda, teri khaslat oonchi parwaz             (bird, habit, flight)
Mamla darasal yahan se sangeen ho raha hai   (actually, intense) 

Saath mai ek pal hum jaage thay kabhi
Woh pal aaj bhi wahi khada so raha hai

Qais ne laila ka ek mandir tameer kiya             (Romeo, Juliet, construct)
Ab parastish karne ka iraada nahi ho raha hai  (worship)

Bahut sari Rait mutthi se nikal gayi hai
Shehroz ab Zindagi se mutassir ho raha hai     (impress)

No comments: