Mujh se juda hokar tu mera hissa ban gaya
Jazbaton ki qabr main gharq (engraved) ek qissa ban gaya
Adhoori sansain, berang shafaq (dusk), nam (wet) palkain
Paishani (forehead) pe shikan, laraztay lab (shivering lips), hasb-e-mamool (daily routine) ban gaya
Qafla na bana, manzilain na mileen, raasta kho gaya
Waqt-e-Taameer ka shor ajab sannata ban gaya
Tera Taj Mahal mere ashiyane se bahut ooncha hai
Yahan zindagi thi, woh khoobsurat maqbara ban gaya
Maykhanay (bar) main kabhi may (sharab) ko na chua
May ko labon se jo lagaya to main (me) maykhana ban gaya
Nafs (desires) ka qatl karke soya tha kal
Mera mehboob mere nafs ka qatil ban gaya
Ashkon (tears) ke sailaab main Shehroz kinaray ko chala
Kamzor kinara mere doobne ka sabab (reason) ban gaya
Subscribe to:
Posts (Atom)